Sunday, 15 January 2012

Trrrrrinnn Trrrrrinnnnn

Gal: Hello baby ♥
Boy: Oh ! jaan bolo ;)

Gal : kaha ho yaar kal se ata pata nahi :|
Boy: Are yaar hona kaha hai aap hi ki aakhon me khoye huye hai ;) ;)

Gal : Hmmmm To abhi kya kar rahe ho..??? :)
Boy : Tumhari pics dekh raha hoon...kahi aur dil hi nahi lagta mera ♥_♥

Gal : Par maine to tumko pic di hi nahi :O
Boy: Yaar mere dil pe chhapi hai tumhare pics :D

Gal: Par hum to parso hi pehli baar mile the :/
Boy: Na jane kyun lagta hai ki mai tumhe barso se jaanta hu 'Pinky' :*

Gal: Kaun Pinky ??? me to Divya hoon :O :/ :|
Boy: Dekha tumhare pyar ne sab kuch bhula diya :) ♥

Gal: Tum sunny ho na ??? :(
Boy: Ji Ji , Gharwale toh Sandy bulate hai par mujhe hamesha se hi yakeen tha k mere gharwale galat the...!!! ;) ;)

Gal: Ye 9870****** hai na ?
Boy : Tha to nahi ... magar ab se hai :p ♥ ♥ ♥ 

No comments:

Post a Comment